'MOHABBAT'
"Koi Deewana kahta hai,
Koi Pagal samajhta hai,
Magar 'Dharati' ki bechaini ko
'Badal' hi samajhta hai........
Main tujhse door kaisi huin,
Tu mujhse door kaisa hai,
Ye mera dil samajhta hai,
Ya tera dil samajhta hai.........
Mohabbat ek 'Ehsaason' ki
Pawan si kahani hai,
Kabhi 'Kabira' deewana tha,
Kabhi 'Meera' deewani hai.........
Yahan sab log kahte hain,
Meri aankhon mein 'aansu' hai,
Jo tu samajhe to 'Moti' hai,
Jo na samajhe to 'Paani' hai........."